Tuesday, September 6, 2011
Bhar De Prem Ka Pyala...
Is dunia mein apna na koi
Tu jane Nandalala
Bhar de prem ka pyala,
Gopaalaa...
Bhar de prem ka pyala...
Yaar kise kahu wo Giridhari
Biswas to mere sab se hari
Kyse jodu rishtedaari?
O Giridhari,
Kisse karu main yaari?
Logon ki- aankhein kehte
Hontho se alag jab
Dil kehte man se alag tab
Kyse karu main yakeen o yaara
Sab ne yakeen aur prem ko mara...
Log kahe-prem sabse nyara hai
...
Log kahe prem, sabse hai nyara
Dil kahe prem sabse hai pyara
Lekin jaha dekhun duniadari
Giridhari Murari
Prem ko sab ne hain mari...
Sabse ek baat poochna chahti hoon-
Kya prem abtak zinda hai?
Shayad nehi? Ya shayad hai?
...
Nandlalaa, Sabko bachanewala
Bachale prem ko yaara Gopala
Bhar de prem ka pyala...
Gopala, Bhar de prem ka pyala....
Jis pyale se koi ghot pi jawe
Ban jawe zindagi matwala
Gopala, Bhar de prem ka pyala...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Accha Likha Hai !!! .... is it ur 1st poem in hindi .... a very gud starting !! Keep it up !!
ReplyDeletethanks...
ReplyDelete